Jise zindagi dhoondh rahi hai
Kya ye woh makaam mera hai
Yahaan chain se bas ruk jaaun
Kyun dil ye mujhe kehta hai
Jazbaat naye se mile hain
Jaane kya asar ye huaa hai
Ik aas mili phir mujhko
Jo qubool kisi ne kiya haiKisi shaayar ki ghazal
Jo de rooh ko sukoon ke pal
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Yaa sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar
Muskaata yeh chehraDeta hai jo pehraaJaane chhupata kya dil ka samandar
Auron ko toh hardam saaya deta hai
Woh dhoop mein hai khada khud magar
Chot lagi hai useyPhir kyun mehsoos mujhe ho raha hai
Dil tu bata de kya hai iraada tera
Main parinda besabar
Tha uda jo darbadar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjarey ko ghar
Naye mausam ki sehar
Yaa sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar
Jaise banjare ko ghar.
Jaise banjare ko ghar...
Jaise banjare ko ghar....
Song Discussions is protected by U.S. Patent 9401941. Other patents pending.